na  chhoḌā  dil-e-ḳhasta-jāñ  chalte  chalte
ġhazab  kar  chale  mehrbāñ  chalte  chalte
kaheñge  kuchh  ai  bāġhbāñ  chalte  chalte
agar  degī  yaarā  zabāñ  chalte  chalte
gire  ham  pas-e-kārvāñ  chalte  chalte
thake  paañv  apne  kahāñ  chalte  chalte
tirī  chaal  bād-e-ḳhizāñ  ne  uḌaa.ī
ujāḌā  mirā  āshiyāñ  chalte  chalte
karo  āñkheñ  jhapkā  ke  tirchhī  nigāheñ
sināneñ  chalīñ  barchhiyāñ  chalte  chalte
bhareñ  sard  aaheñ  jo  garm  aah  bhar  ke
nasīm  aa.ī  bād-e-ḳhizāñ  chalte  chalte
na  ghabrā  zarā  dāman-e-roz-e-mahshar
karūñgā  tirī  dhajjiyāñ  chalte  chalte
adam  ko  chale  qaid  zulf-e-sanam  meñ
raheñ  paañv  meñ  beḌiyāñ  chalte  chalte
dam-e-naz.a  sar  par  gire  koh-e-ulfat
uThā.īñ  baḌī  saḳhtiyāñ  chalte  chalte
mirī  laash  ko  paañv  se  ḳhuub  rauñdā
thame  sūrat-e-āsmāñ  chalte  chalte
bas  ab  to  adam  meñ  mulāqāt  hogī
ye  kahte  ga.e  raftagāñ  chalte  chalte
na  qātil  ne  teġh-e-nigah  tak  lagā.ī
na  kartā  gayā  imtihāñ  chalte  chalte
jahāñ  se  ga.e  hashr  tak  ḳhuub  so.e
liyā  saath  ḳhvāb-e-girāñ  chalte  chalte
rahe  umr-bhar  terī  vahdat  ke  qaa.il
na  liiñ  ham  ne  do  hichkiyāñ  chalte  chalte
'rashīd'-e-hazīñ  laakh  rokā  kiye  ham
vo  lete  ga.e  naqd-e-jāñ  chalte  chalte