jo  havā  hai  sūrat-e-bād-e-muḳhālif  tez  hai
dil  kā  maidāñ  hai  ki  ik  sahrā-e-āfat-ḳhez  hai
mere  saaqī  dam-ba-dam  kyūñkar  bharā  aa.e  na  dil
duur  huuñ  maiñ  aur  sāġhar  bazm  meñ  labrez  hai
dukh  uThāne  kī  bhī  āḳhir  hotī  hai  kuchh  intihā
bulbul-e-dil  kā  mire  naġhma  bhī  dard-añgez  hai
aamad  aamad  hai  ḳhizāñ  kī  kyuuñ  na  ro.e  andalīb
gul  abhī  nau-kār  haiñ  sabza  abhī  nau-ḳhez  hai
tere  vahshī  jaate  haiñ  uftān-o-ḳhezāñ  sū-e-dasht
ho  junūñ  dekhe  se  aisī  chaal  vahshat-ḳhez  hai
kyuuñ  na  ro.eñ  saikḌoñ  tūfān  uTThe  chaah  meñ
ham  na  vāqif  the  ki  bahr-e-ishq  tūfāñ-ḳhez  hai
āb-e-ḳhanjar  tū  milā  de  to  chhalak  jaa.e  abhī
umr  kā  sāġhar  yahāñ  ik  umr  se  labrez  hai
us  pe  martā  huuñ  mire  marne  kī  hai  jis  ko  ḳhushī
āriza  vo  hai  ki  jis  se  maut  ko  parhez  hai
tuḳhm  ulfat  kā  zamīn-e-dil  meñ  bonā  kyā  zarūr
log  kahte  haiñ  ki  ye  to  ḳhud  mohabbat-ḳhez  hai
ho  jahāñ  ma.ashūq  vaañ  āshiq  bhī  hotā  hai  zarūr
yaañ  yuuñ  hī  roz-e-azal  se  husn-o-ishq  aamez  hai
naza.a  meñ  bhī  mātam-e-dil  hai  talāsh-e-yār  hai
paañv  haiñ  chālāk  ab  tak  haath  ab  tak  tez  hai
kis  takalluf  se  nibāhī  maiñ  ne  ulfat  aap  kī
faḳhr  kartā  huuñ  ki  merā  ishq  husn-āmez  hai
kaaT  ke  sar  merā  tum  ne  haath  meñ  laTkā  diyā
dekho  ye  merī  vafādārī  kī  dastāvez  hai
kar  diyā  hai  mast  saare  ḳhuftagān-e-ḳhāk  ko
kyā  huā  shahr-e-ḳhamoshāñ  kī  nashāt-añgez  hai
hai  'rashīd'  ab  tak  giyāh-e-lucknow  mardum  giyāh
kyā  zamīñ  hai  jo  ujaḌ  jaane  pe  mardum-ḳhez  hai