josh-e-vahshat  mere  talvoñ  ko  ye  iizā  bhī  sahī
haiñ  jahāñ  sau  aable  kuchh  ḳhār-e-sahrā  bhī  sahī
dil  meñ  sau  bāteñ  haiñ  ik  terī  tamannā  bhī  sahī
sar  pe  haiñ  laakh  āfateñ  ik  dāġh-e-saudā  bhī  sahī
muñh  pe  āñchal  lījiye  mujh  se  jo  aatā  hai  hijāb
gar  yahī  manzūr  hai  thoḌā  sā  parda  bhī  sahī
dil  meñ  vaqt-e-zab.h  hai  hasrat  ki  tum  ko  dekh  leñ
marte  marte  ḳhair  jiine  kī  tamannā  bhī  sahī
ham  adam  se  yaañ  na  aate  the  to  samjhātā  thā  dil
ik  nazar  gulzār-e-hastī  kā  tamāshā  bhī  sahī
merā  hāl-e-saḳht-jānī  sun  ke  farmāne  lage
teġh  ke  saath  ek  abrū  kā  ishārā  bhī  sahī
garm  aaheñ  kar  chukā  ab  khīñchtā  huuñ  sard  aah
lījiye  ThanDī  havā  kā  ek  jhoñkā  bhī  sahī
kyuuñ  bigaḌiye  husn-o-rif.at  meñ  kise  inkār  hai
aap  yūsuf  bhī  sahī  rashk-e-masīhā  bhī  sahī
apne  dil  ko  gar  pasand  aa.e  to  jāneñ  ḳhuub  hai
ham  ne  maanā  yaar  tum  se  koī  achchhā  bhī  sahī
tīra-baḳhtoñ  ke  mazāroñ  par  na  hogī  raushnī
aazmā  dekho  charāġh-e-dast-e-mūsā  bhī  sahī
chārasāzoñ  kī  ḳhushī  hai  zaḳhm  par  hoñ  yā  na  hoñ
marham-e-zañgār  kā  ek-ādh  phāhā  bhī  sahī
tere  sar  se  paañv  tak  barsoñ  meñ  jaatī  hai  nazar
har  jagah  par  kahtī  hai  yaañ  kā  tamāshā  bhī  sahī
dil  jigar  meñ  kuchh  nahīñ  siine  meñ  haiñ  par  aas  hai
bazm  kī  zīnat  ko  ḳhālī  jām-o-mīnā  bhī  sahī
ye  to  zāhir  ho  gayā  tum  martabe  meñ  ho  buland
ab  masīhā  se  masīhā.ī  kā  da.avā  bhī  sahī
us  ke  dar  par  jā  ke  kuchh  hāsil  na  hogā  ai  'rashīd'
koī  bolā  bhī  sahī  tum  ne  pukārā  bhī  sahī