Syed Muneer

nazar pe baiTh gaya jo ghubar kis ka tha

Syed Muneer

nazar pe baiTh gayā jo ġhubār kis kā thā
diloñ se kam na huā jo sharār kis kā thā
na koī shakl thī dil meñ na lab pe naam koī
tamām umr mujhe intizār kis kā thā
mire liye to vo Thahrā na ek pal-bhar ko
na jaane qāfila-e-nau-bahār kis kā thā
ye kis ke husn se yādoñ kī ban ga.ī tasvīr
dil-ā.ine pe sunahrā ġhubār kis kā thā
paḌe raheñge isī soch meñ qayāmat tak
hamāre ba.ad dil-e-be-qarār kis kā thā
ḳhayāl-o-ḳhvāb kī rātoñ se jo ubhartā hai
vo ek nuur badan kā nikhār kis kā thā
vo adh-khulā sā darīcha vo chaah kī ḳhushbū
mirā nahīñ thā to phir intizār kis kā thā
ye kis ne shor-e-salāsil ko naġhmagī de hī
rah-e-vafā meñ qadam baar baar kis kā thā
tumhāre jabr kī tā.īd thā mirā manshā
samajh meñ aa na sakā iḳhtiyār kis kā thā
ye kis liye sū-e-gul bhī nigāh jaatī thī
tum aa chuke the to phir intizār kis kā thā
mirī vafā kā bagūla to ek thā lekin
mire sivā sar-e-sahrā ġhubār kis kā thā
bahut dinoñ se yahī ik savāl hai dil meñ
jo maiñ ne sab ko diyā thā vo pyaar kis kā thā
'munīr' jab bhī chale koī rāsta na milā
vajūd-e-rāhguzar e.atibār kis kā thā
Top Urdushayar.com