Syed Muneer

abr ka mahtab ka bhi tha

Syed Muneer

abr kā māhtāb kā bhī thā
ik zamāna sharāb kā bhī thā
kuchh tabī.at bhī apnī maa.il thī
kuchh jhamelā shabāb kā bhī thā
rāt-bhar terī chāñdnī aur din
yaad ke āftāb kā bhī thā
terī shohrat ke ḳhaas rañgoñ meñ
ik mire intiḳhāb kā bhī thā
chāñdnī meñ tire badan kā nikhār
husn kuchh māhtāb kā bhī thā
mausam-e-vasl terī zulfoñ meñ
āstāna gulāb kā bhī thā
kuchh mire shauq kī tajallī thī
kuchh saraknā naqāb kā bhī thā
tund lahroñ se kyā shikāyat ho
jism nāzuk habāb kā bhī thā
umr zindān-e-jabr meñ guzrī
aur abhī din hisāb kā bhī thā
kuchh tirā intizār thā aur kuchh
mai-e-gul rañg-o-nāb kā bhī thā
ye sazā-o-jazā kī baat na thī
Dar savāl-o-javāb kā bhī thā
tum agar DhūñDte tah-e-dil tak
rāsta inqalāb kā bhī thā
jis meñ tum bas ga.e kabhī vo ghar
dil-e-ḳhāna-ḳharāb kā bhī thā
ham to Thahre kashīda-sar lekin
hukm-e-hākim itaab kā bhī thā
vaqt ke chor-ā.ine meñ 'munīr'
aks chashm-e-pur-āb kā bhī thā
Top Urdushayar.com