itne  dukhī  haiñ  ham  ko  masarrat  bhī  ġham  bane
amrit  hamāre  hoñT  se  mas  ho  to  sam  bane
ro.e  ba-rañg-e-abr  farishte  bhī  gūñdh  kar
kis  dasht-e-ashk-o-āh  kī  miTTī  se  ham  bane
kuchh  aur  bhī  to  shīsh-mahal  rāste  meñ  the
kyuuñ  ham  faqat  nishāna-e-sañg-e-sitam  bane
āñkhoñ  ke  sāmne  hai  shikasta  dar-e-sukūñ
ham  tak  rahe  haiñ  der  se  tasvīr-e-ġham  bane
barse  haiñ  dasht-e-zīst  meñ  ham  par  vo  sañg-o-ḳhisht
yakjā  simaT  ke  aa.eñ  to  koh-e-alam  bane
lahje  ke  bāñkpan  meñ  chhupāte  haiñ  dil  kā  soz
ham  aise  rakh-rakhāo  ke  fankār  kam  bane
jo  dāstāñ  miTā.ī  ziyāda  likhī  ga.ī
jitne  hamāre  haath  tarāshe  qalam  bane
'zulfī'  vo  sarzamīñ  ki  jahāñ  dafn  hai  'shakeb'
vo  kyuuñ  na  ahl-e-fan  ke  liye  mohtaram  bane