tanhā.ī  ke  sho.aloñ  pe  machalne  ke  liye  thā
kyā  mujh  sā  javāñ  aag  meñ  jalne  ke  liye  thā
kyā  kātib-e-taqdīr  se  zaḳhmoñ  kī  shikāyat
jo  tiir  thā  tarkash  meñ  so  chalne  ke  liye  thā
jaltā  hai  mire  dil  meñ  paḌā  daaġh  kī  sūrat
jo  chāñd  sar-e-arsh  nikalne  ke  liye  thā
is  jhiil  meñ  tujh  se  bhī  koī  lahr  na  uThī
aur  tū  mirī  taqdīr  badalne  ke  liye  thā
māyūs  na  jā  aa  ġham-e-daurāñ  mire  nazdīk
tū  hī  mirī  bāñhoñ  meñ  machalne  ke  liye  thā
ye  Dastī  huī  raat  guzar  jā.egī  yaaro
vo  hañstā  huā  din  bhī  to  Dhalne  ke  liye  thā
kuchh  aañch  mire  lams  kī  garmī  se  bhī  pahuñchī
vo  barf  sā  paikar  bhī  pighalne  ke  liye  thā
tafrīq  ne  mulkoñ  kī  tarāshe  haiñ  aqā.ed
insān  bas  ik  raah  pe  chalne  ke  liye  thā
zinda  hai  mirī  fikr  mire  karb  se  'zulfī'
ye  phuul  isī  shāḳh  pe  phalne  ke  liye  thā