bechain  huuñ  ḳhūnāba-fishānī  meñ  ghirā  huuñ
bhīge  hue  lafzoñ  ke  ma.ānī  meñ  ghirā  huuñ
jo  peḌ  pakaḌtā  huuñ  ukhaḌ  jaatā  hai  jaḌ  se
sailāb  ke  dhāre  kī  ravānī  meñ  ghirā  huuñ
mafhūm  kā  sāhil  to  nazar  aatā  hai  lekin
maiñ  der  se  gardāb-e-ma.ānī  meñ  ghirā  huuñ
ab  log  sunāte  haiñ  mujhe  mere  hī  qisse
maiñ  phail  ke  apnī  hī  kahānī  meñ  ghirā  huuñ
amboh-e-mah-o-sāl  kā  kyā  baar  uThegā
Thahre  hue  lamhe  kī  girānī  meñ  ghirā  huuñ
jis  shaḳhs  ko  chāhā  hai  usī  shaḳhs  ke  kāran
'zulfī'  maiñ  kisī  karb-e-bayānī  meñ  ghirā  huuñ