mahkā  hai  zaḳhm  zaḳhm  havā.eñ  haiñ  manchalī
barsā  hai  terī  yaad  kā  sāvan  galī  galī
dīvār-o-dar  to  raah  meñ  haa.il  na  ho  sake
aage  baḌhūñ  to  paañv  pakaḌtī  hai  bekalī
ik  māhtāb  thā  ki  pighaltā  chalā  gayā
ik  sham.a  thī  ki  saath  mire  raat  bhar  jalī
vo  raushnī  jo  tū  ne  hameñ  dī  thī  din  Dhale
vo  raushnī  bhī  ham  ne  luTā  dī  galī  galī
ye  aur  baat  ham  hī  ujāloñ  se  duur  haiñ
varna  hamīñ  ne  terī  jabīñ  par  shafaq  malī
saa.e  kā  ik  naqāb  sā  ruḳh  par  bikhar  gayā
yaaro  sahar  jo  us  ke  garebān  se  Dhalī
shoa.la-fishāñ  hai  shiddat-e-idrāk  se  badan
ik  karb  ke  alaav  se  dīvāngī  bhalī
lau  de  uThī  haiñ  biite  dinoñ  kī  rifāqateñ
bujhte  sharar  bhī  aag  bane  vo  havā  chalī