ab  kyā  gila  kareñ  ki  muqaddar  meñ  kuchh  na  thā
ham  ġhota-zan  hue  to  samundar  meñ  kuchh  na  thā
dīvāna  kar  ga.ī  tirī  tasvīr  kī  kashish
chūmā  jo  paas  jā  ke  to  paikar  meñ  kuchh  na  thā
apne  lahū  kī  aag  hameñ  chāTtī  rahī
apne  badan  kā  zahr  thā  sāġhar  meñ  kuchh  na  thā
dekhā  to  sab  hī  la.al-o-javāhar  lage  mujhe
parkhā  jo  dostoñ  ko  to  aksar  meñ  kuchh  na  thā
sab  rañg  sail-e-tīrgī-e-shab  se  Dhal  ga.e
sab  raushnī  ke  aks  the  manzar  meñ  kuchh  na  thā