siine  kī  aag  ātish-e-mahshar  ho  jis  tarah
yuuñ  maujzan  hai  ġham  ki  samundar  ho  jis  tarah
zaḳhmoñ  se  yuuñ  hai  jism  kī  dīvār  zau-fagan
sho.aloñ  kā  raqs  shāḳh-e-shajar  par  ho  jis  tarah
bādal  kā  shor  hāñpte  peḌoñ  kī  bebasī
yuuñ  dekhtā  huuñ  mere  hī  andar  ho  jis  tarah
uḌte  hue  ġhubār  meñ  āñkhoñ  kā  dasht  bhī
kuchh  yuuñ  lagā  ki  ḳhushk  samundar  ho  jis  tarah
bastī  ke  ek  moḌ  pe  barsoñ  se  ik  khañDar
yuuñ  nauhagar  hai  merā  muqaddar  ho  jis  tarah
vīrāniyoñ  kā  kis  se  gilā  kījiye  ki  dil
itnā  udaas  hai  ki  luTā  ghar  ho  jis  tarah
sukh  kī  ugī  na  dhuup  na  dukh  kī  miTī  lakīr
yuuñ  hai  mirā  nasīb  ki  patthar  ho  jis  tarah
ehsās  meñ  shadīd  talātum  ke  bāvajūd
chup  huuñ  mujhe  sukūn  mayassar  ho  jis  tarah
yuuñ  hasratoñ  ke  ḳhuuñ  kī  mahak  meñ  basā  hai  dil
mehñdī-rachā  vo  haat  mo.attar  ho  jis  tarah
pyāsā  huuñ  paas  hai  vo  chamaktā  huā  badan
yuuñ  haat  kāñptā  hai  koī  Dar  ho  jis  tarah
patthar  na  jaan  tujh  ko  dikhā.ūñgā  āb-o-tāb
yuuñ  qaid  huuñ  ki  siip  meñ  gauhar  ho  jis  tarah
'zulfī'  ko  khīñcho!  daar  pe  dīvār  meñ  chuno
sach  boltā  hai  yuuñ  ki  payambar  ho  jis  tarah