kyuuñ  jal-bujhe  kahīñ  to  giraftār  bolte
zindāñ  meñ  chup  rahe  to  sar-e-dār  bolte
ghar  ghar  yahāñ  thā  gosh-bar-āvāz  der  se
aatī  sadā  to  sab  dar-o-dīvār  bolte
hotā  tumhāre  ḳhuun  kā  dariyā  jo  maujzan
tūfāñ  samundaroñ  meñ  ba-yak-bār  bolte
detā  tumhārā  nutq  dahā.ī  to  fitratan
lauh-o-qalam  ke  baam  se  fankār  bolte
tum  bolte  agar  to  tumhārī  nidā  ke  saath
bastī  ke  saare  kūcha-o-bāzār  bolte
ab  ḳhalvatoñ  meñ  shor  machāne  se  fā.eda
thā  hausla  to  bar-sar-e-darbār  bolte
dast-e-ḳhizāñ  thā  ḳhāna-bar-andāz  jis  ghaḌī
kyuuñ  guñg  the  chaman  ke  parastār  bolte
sūraj  ne  kitne  jism  jalā.e  haiñ  raah  meñ
itnā  to  zer-e-sāya-e-dīvār  bolte
laatā  vafā  kī  jins  jo  bāzār  meñ  koī
bolī  ba-qadr-e-zarf-e-ḳharīdār  bolte
'zulfī'  kalī  kalī  meñ  machaltā  nayā  lahū
aatā  vo  sail-e-rañg  ki  gulzār  bolte