kuufe  ke  qarīb  ho  gayā  hai
lahore  ajiib  ho  gayā  hai
har  dost  hai  mere  ḳhuuñ  kā  pyāsā
har  dost  raqīb  ho  gayā  hai
har  aañkh  kī  zulmatoñ  se  yaarī
har  zehn  muhīb  ho  gayā  hai
kyā  hañstā  hañsātā  shahr  yaaro
hāsid  kā  nasīb  ho  gayā  hai
phailā  thā  masīh-e-vaqt  ban  kar
simTā  to  salīb  ho  gayā  hai
kāġhaz  pe  ugal  rahā  hai  nafrat
kam-zarf  adiib  ho  gayā  hai
is  shahr  ke  dil  nahīñ  hai  'zulfī'
ye  shahr  ġharīb  ho  gayā  hai