meñ  na  kahtā  thā  ki  shahroñ  meñ  na  jā  yaar  mire
soñdhī  miTTī  hī  meñ  hotī  hai  vafā  yaar  mire
koī  TuuTe  hue  ḳhvāboñ  se  kahāñ  miltā  hai
har  jagah  dard  kā  bistar  na  lagā  yaar  mire
silsila  phir  se  juḌā  hai  to  juḌā  rahne  de
dil  ke  rishtoñ  ko  tamāsha  na  banā  yaar  mire
apnī  chāhat  ke  shab-o-roz  mukammal  kar  le
jā  ye  sūraj  bhī  tire  naam  kiyā  yaar  mire
tujh  se  miltā  huuñ  to  rishta  koī  yaad  aatā  hai
silsila  mujh  se  ziyāda  na  baḌhā  yaar  mire
aisā  lagtā  hai  ki  kuchh  TuuT  rahā  hai  mujh  meñ
chhoḌ  ke  tū  mujhe  is  vaqt  na  jā  yaar  mire
ḳhush-nasībī  se  ye  saa.at  tire  haath  aa.ī  hai
āsmāñ  jhukne  lagā  haath  baḌhā  yaar  mire