sukūn-e-dil  meñ  vo  ban  ke  jab  intishār  utrā  to  maiñ  ne  dekhā
na  dekhtā  par  lahū  meñ  vo  baar  baar  utrā  to  maiñ  ne  dekhā
na  āñsuoñ  hī  meñ  vo  chamak  thī  na  dil  kī  dhaḌkan  meñ  vo  kasak  thī
sahar  ke  hote  hī  nashsha-e-hijr-e-yār  utrā  to  maiñ  ne  dekhā
udaas  āñkhoñ  se  tak  rahā  thā  mujhe  vo  chhūTā  huā  kinārā
shikasta  kashtī  se  jab  maiñ  dariyā  ke  paar  utrā  to  maiñ  ne  dekhā
jo  barf  āñkhoñ  meñ  jam  chukī  thī  vo  dhīre  dhīre  pighal  rahī  thī
jab  aa.ine  meñ  vo  merā  ā.īna-dār  utrā  to  maiñ  ne  dekhā
the  jitne  vahm-o-gumān  vo  sab  na.ī  haqīqat  meñ  Dhal  chuke  the
ik  aadmī  par  kalām-e-parvardigār  utrā  to  maiñ  ne  dekhā
na  jaane  kab  se  sisak  rahā  thā  qarīb  aate  jhijak  rahā  thā
makāñ  kī  dahlīz  se  vo  jab  ashk-bār  utrā  to  maiñ  ne  dekhā
ḳhayāl-e-jānāñ  tirī  badaulat  'farāz'  hai  kitnā  ḳhūb-sūrat
dimāġh-o-dil  se  haqīqatoñ  kā  ġhubār  utrā  to  maiñ  ne  dekhā