koī  hasīñ  manzar  āñkhoñ  se  jab  ojhal  ho  jā.egā
mujh  ko  pāgal  kahne  vaalā  ḳhud  hī  pāgal  ho  jā.egā
palkoñ  pe  us  kī  jale  bujheñge  jugnū  jab  mirī  yādoñ  ke
kamre  meñ  hoñgī  barsāteñ  ghar  jañgal  ho  jā.egā
jis  din  us  kī  zulfeñ  us  ke  shānoñ  par  khul  jā.eñgī
us  din  sharm  se  paanī  paanī  ḳhud  bādal  ho  jā.egā
jab  bhī  vo  pākīza  dāman  aa  jā.egā  haath  mire
āñkhoñ  kā  ye  melā  paanī  gañgā-jal  ho  jā.egā
us  kī  yādeñ  us  kī  bāteñ  us  kī  vafā.eñ  us  kā  pyaar
kis  ko  ḳhabar  thī  jiinā  mushkil  ek  ik  pal  ho  jā.egā
mat  ghabrā  ai  pyāse  dariyā  sūraj  aane  vaalā  hai
barf  pahāḌoñ  se  pighlī  to  jal  hī  jal  ho  jā.egā