mire  laboñ  pe  usī  aadmī  kī  pyaas  na  ho
jo  chāhtā  hai  mire  sāmne  gilās  na  ho
ye  tishnagī  to  milī  hai  hameñ  virāsat  meñ
hamāre  vāste  dariyā  koī  udaas  na  ho
tamām  din  ke  dukhoñ  kā  hisāb  karnā  hai
maiñ  chāhtā  huuñ  koī  mere  ās-pās  na  ho
mujhe  bhī  dukh  hai  ḳhatā  ho  gayā  nishāna  tirā
kamān  khīñch  maiñ  hāzir  huuñ  tū  udaas  na  ho
ġhazal  hī  rah  ga.ī  tāhir-'farāz'  apne  liye
jahāñ  meñ  koī  aisā  bhī  be-asās  na  ho