vaqt  kartā  hai  ḳhud-kushī  mujh  meñ
lamha  lamha  hai  zindagī  mujh  meñ
sone  vaalī  samā.ato  jaago
ḳhāmushī  bolne  lagī  mujh  meñ
shukriya  ai  jalāne  vaale  terā
duur  tak  ab  hai  raushnī  mujh  meñ
roz  apnā  hī  ḳhuun  piitā  huuñ
aisī  kab  thī  darindagī  mujh  meñ
is  na.e  daur  meñ  na  kho  jaa.e
ye  jo  baaqī  hai  sādgī  mujh  meñ
sher  merā  thā  daad  us  ko  milī
shaḳhsiyat  kī  kamī  jo  thī  mujh  meñ
jāntā  huuñ  maiñ  apne  qātil  ko
roz  kartā  hai  ḳhud-kushī  mujh  meñ
sher  kahnā  nahīñ  hai  sahal  'farāz'
ye  vadī.at  hai  qudratī  mujh  meñ