mirī  manzileñ  kahīñ  aur  haiñ  mirā  rāsta  koī  aur  hai
haTo  raah  se  mirī  ḳhizr-jī  mirā  rahnumā  koī  aur  hai
ye  ajiib  mantiq-e-ishq  hai  magar  is  meñ  kuchh  bhī  na  ban  paḌe
mire  dil  meñ  yaad  kisī  kī  hai  mujhe  bhūltā  koī  aur  hai
mirī  jumbisheñ  mirī  laġhzisheñ  mire  bas  meñ  hoñgī  na  thiiñ  na  haiñ
maiñ  qayām  kartā  huuñ  zehan  meñ  mujhe  sochtā  koī  aur  hai
tire  husn  tere  jamāl  kā  maiñ  divāna  yuuñ  hī  nahīñ  huā
hai  mujhe  ḳhabar  tire  ruup  meñ  ye  chhupā  huā  koī  aur  hai
nahīñ  mujh  ko  tujh  se  koī  gila  hai  alag  tarah  mirā  silsila
ki  tire  ḳhudā  ka.ī  aur  haiñ  to  mirā  ḳhudā  koī  aur  hai