ab  ke  baras  hoñToñ  se  mere  tishna-labī  bhī  ḳhatm  hui
tujh  se  milne  kī  ai  dariyā  majbūrī  bhī  ḳhatm  huī
kaisā  pyaar  kahāñ  kī  ulfat  ishq  kī  baat  to  jaane  do
mere  liye  ab  us  ke  dil  se  hamdardī  bhī  ḳhatm  huī
sāmne  vaalī  building  meñ  ab  kaam  hai  bas  ārā.ish  kā
kal  tak  jo  miltī  thī  hameñ  vo  mazdūrī  bhī  ḳhatm  huī
jail  se  vāpas  aa  kar  us  ne  pān.cho  vaqt  namāz  paḌhī
muñh  bhī  band  hue  sab  ke  aur  badnāmī  bhī  ḳhatm  huī
jis  kī  jal-dhārā  se  bastī  vaale  jīvan  paate  the
rasta  badalte  hī  naddī  ke  vo  bastī  bhī  ḳhatm  huī