ajiib  ham  haiñ  sabab  ke  baġhair  chāhte  haiñ
tumheñ  tumhārī  talab  ke  baġhair  chāhte  haiñ
faqīr  vo  haiñ  jo  allāh  tere  bandoñ  ko
har  imtiyāz-e-nasab  ke  baġhair  chāhte  haiñ
mazā  to  ye  hai  unheñ  bhī  navāztā  hai  rab
jo  is  jahān  ko  rab  ke  baġhair  chāhte  haiñ
nahīñ  hai  khel  koī  un  se  guftugū  karnā
suḳhan  vo  jumbish-e-lab  ke  baġhair  chāhte  haiñ
ThaThurtī  raat  meñ  chādar  bhī  jin  ke  paas  nahīñ
vo  din  nikālnā  shab  ke  baġhair  chāhte  haiñ
jamī  hai  gard  siyāsat  kī  jin  ke  zehnoñ  par
mushā.era  bhī  adab  ke  baġhair  chāhte  haiñ
hai  e'timād  unheñ  ḳhud  par  ġhurūr  kī  had  tak
akele  jiinā  jo  sab  ke  baġhair  chāhte  haiñ