Abrar Azmi

tanha udas shab ke siwa koi bhi na tha

Abrar Azmi

Gorakhpur, Uttar pradesh, India

1936
tanhā udaas shab ke sivā koī bhī na thā
sannāTā aayā jhāñk ke ghar meñ chalā gayā
be-kaifiyoñ kī jhiil meñ be-his se kuchh parind
baiThe the thoḌī der magar is se kyā huā
chehroñ ke maile jismoñ ke jañgal the har jagah
un meñ kahīñ bhī koī magar aadmī na thā
vo ajnabī yahī to vo kahtā thā chīḳh kar
merā adhūrā ḳhvāb kahīñ mujh se kho gayā
chhan chhan ke aa rahī hai kidhar se ye raushnī
merī fasīl-e-dard kī rif.at ko kyā huā
Top Urdushayar.com