honā  hī  kyā  zarūr  the  ye  do-jahāñ  haiñ  kyuuñ
allāh  ik  fareb  meñ  kaun-o-makāñ  haiñ  kyuuñ
sunte  haiñ  ek  dard  to  uThtā  hai  bār-bār
us  kī  ḳhabar  nahīñ  hai  ki  aañsū  ravāñ  haiñ  kyuuñ
in  be-niyāziyoñ  meñ  bhī  shān-e-niyāz  hai
sajde  nahīñ  pasand  to  phir  āstāñ  haiñ  kyuuñ
jis  gulistāñ  meñ  roz  taḌaptī  haiñ  bijliyāñ
yārab  usī  chaman  meñ  ye  phir  āshiyāñ  haiñ  kyuuñ
is  kā  hameñ  malāl  hai  ham  kyuuñ  badal  ga.e
is  kā  nahīñ  malāl  ki  vo  bad-gumāñ  haiñ  kyuuñ
jab  dil  nahīñ  rahā  to  tamannā  kā  kaam  kyā
jab  kārvāñ  nahīñ  to  pas-e-kārvāñ  haiñ  kyuuñ
'bahzād'  un  ke  hijr  meñ  ghabrā  rahā  hai  dil
ab  kyā  kaheñ  kisī  se  ki  bas  ḳhānumāñ  haiñ  kyuuñ