fariyād  hai  ab  lab  par  jab  ashk-fishānī  thī
ye  aur  kahānī  hai  vo  aur  kahānī  thī
ab  dil  meñ  rahā  kyā  hai  juz  hasrat-o-nākāmī
vo  niish  kahāñ  baaqī  ḳhud  jis  kī  nishānī  thī
jab  dard  sā  thā  dil  meñ  ab  dard  hī  ḳhud  dil  hai
haañ  ab  jo  haqīqat  hai  pahle  ye  kahānī  thī
pur-āb  sī  rahtī  thiiñ  pahle  ye  mirī  āñkheñ
haañ  haañ  isī  dariyā  meñ  ashkoñ  kī  ravānī  thī
ai  chashm  haqīqat  meñ  duniyā  ko  ye  samjhā  de
baaqī  bhī  vahī  niklī  jo  chiiz  ki  faanī  thī
bulbul  ne  to  afsāna  apnā  hī  sunāyā  thā
gulshan  kī  kahānī  to  phūloñ  kī  zabānī  thī
yuuñ  ashk  bahā.e  the  yuuñ  kiiñ  na  thiiñ  fariyādeñ
ik  baat  chhupānī  thī  ik  baat  batānī  thī
saada  nazar  aatā  hai  ab  to  varaq-e-dāman
ab  tak  mire  dāman  par  āñkhoñ  kī  nishānī  thī
'bahzād'  kā  vo  aalam  bhī  ḳhuub  hī  aalam  thā
'bahzād'  kī  nazroñ  meñ  har  chiiz  javānī  thī