tujh  par  mirī  mohabbat  qurbān  ho  na  jaa.e
ye  kufr  baḌhte  baḌhte  īmān  ho  na  jaa.e
allāh  rī  be-naqābī  us  jān-e-mudda.ā  kī
merī  nigāh-e-hasrat  hairān  ho  na  jaa.e
merī  taraf  na  dekho  apnī  nazar  ko  roko
duniyā-e-āshiqī  meñ  haijān  ho  na  jaa.e
palkoñ  pe  ruk  gayā  hai  aa  kar  jo  ek  aañsū
ye  qatra  baḌhte  baḌhte  tūfān  ho  na  jaa.e
hadd-e-sitam  to  hai  bhī  hadd-e-vafā  nahīñ  hai
zālim  tirā  sitam  bhī  ehsān  ho  na  jaa.e
hotī  nahīñ  hai  vaq.at  hotī  nahīñ  hai  izzat
jab  tak  ki  koī  insāñ  insān  ho  na  jaa.e
us  vaqt  tak  mukammal  hotā  nahīñ  hai  koī
jab  tak  ki  ḳhud  ko  apnī  pahchān  ho  na  jaa.e
'bahzād'  is  liye  maiñ  kahtā  nahīñ  huuñ  dil  kī
Dartā  huuñ  sun  ke  duniyā  hairān  ho  na  jaa.e