yuuñ  to  jo  chāhe  yahāñ  sāhab-e-mahfil  ho  jaa.e
bazm  us  shaḳhs  kī  hai  tū  jise  hāsil  ho  jaa.e
nāḳhudā  ai  mirī  kashtī  ke  chalāne  vaale
lutf  to  jab  hai  ki  har  mauj  hī  sāhil  ho  jaa.e
is  liye  chal  ke  har  ik  gaam  pe  ruk  jaatā  huuñ
tā  na  be-kaif  ġham-e-dūri-e-manzil  ho  jaa.e
tujh  ko  apnī  hī  qasam  ye  to  batā  de  mujh  ko
kyā  ye  mumkin  hai  kabhī  tū  mujhe  hāsil  ho  jaa.e
haa.e  us  vaqt  dil-e-zār  kā  aalam  kyā  ho
gar  mohabbat  hī  mohabbat  ke  muqābil  ho  jaa.e
phīkā  phīkā  hai  mirī  bazm-e-mohabbat  kā  charāġh
tum  jo  aa  jaao  to  kuchh  raunaq-e-mahfil  ho  jaa.e
terī  nazreñ  jo  zarā  mujh  pe  karam  farmā.eñ
terī  nazroñ  kī  qasam  phir  yahī  dil  dil  ho  jaa.e
hosh  us  ke  haiñ  ye  jaam  us  kā  hai  tū  hai  us  kā
mai-kade  meñ  tire  jo  shaḳhs  bhī  ġhāfil  ho  jaa.e
fitnagar  shauq  se  'bahzād'  ko  kar  de  pāmāl
is  se  taskīn-e-dilī  gar  tujhe  hāsil  ho  jaa.e