mohabbat  mustaqil  kaif-āfrīñ  mālūm  hotī  hai
ḳhalish  dil  meñ  jahāñ  par  thī  vahīñ  mālūm  hotī  hai
tire  jalvoñ  se  Takrā  kar  nahīñ  mālūm  hotī  hai
nazar  bhī  ek  mauj-e-tah-nashīñ  mālūm  hotī  hai
nuqūsh-e-pā  ke  sadqe  bandagī-e-ishq  ke  qurbāñ
mujhe  har  samt  apnī  hī  jabīñ  mālūm  hotī  hai
mirī  rag  rag  meñ  yuuñ  to  dauḌtī  hai  ishq  kī  bijlī
kahīñ  zāhir  nahīñ  hotī  kahīñ  mālūm  hotī  hai
ye  e.ajāz-e-nazar  kab  hai  ye  kab  hai  husn  kī  kāvish
hasīñ  jo  chiiz  hotī  hai  hasīñ  mālūm  hotī  hai
umīdeñ  toḌ  de  mere  dil-e-muztar  ḳhudā-hāfiz
zabān-e-husn  par  ab  tak  nahīñ  mālūm  hotī  hai
use  kyuuñ  mai-kada  kahtā  hai  batlā  de  mire  saaqī
yahāñ  kī  sar-zamīñ  ḳhuld-e-barīñ  mālūm  hotī  hai
are  ai  chāra-gar  haañ  haañ  ḳhalish  tū  jis  ko  kahtā  hai
ye  shai  dil  meñ  nahīñ  dil  ke  qarīñ  mālūm  hotī  hai
kisī  ke  pā-e-nāzuk  par  jhukī  hai  aur  nahīñ  uThtī
mujhe  'bahzād'  ye  apnī  jabīñ  mālūm  hotī  hai