ḳhudā  ko  DhūñD  rahā  thā  kahīñ  ḳhudā  na  milā
zahe-nasīb  ki  bande  ko  mudda.ā  na  milā
nigāh-e-shauq  meñ  be-nūriyoñ  kā  rañg  baḌhā
nigāh-e-shauq  ko  jab  koī  dūsrā  na  milā
ham  apnī  be-ḳhudī-e-shauq  par  nisār  rahe
ḳhudī  ko  DhūñDh  liyā  jab  hameñ  ḳhudā  na  milā
tumhārī  bazm  meñ  lab  khol  kar  huā  ḳhāmosh
vo  bad-nasīb  jise  koī  aasrā  na  milā
har  ek  zarre  meñ  maiñ  ḳhud  to  aa  rahā  thā  nazar
ajiib  baat  tumhārā  kahīñ  pata  na  milā
bas  ik  sukūn  hī  ham  ko  na  mil  sakā  tā-umr
vagarna  tere  tasadduq  meñ  ham  ko  kyā  na  milā
tirī  nigāh-e-mohabbat-navāz  hī  kī  qasam
ki  aaj  tak  to  hameñ  tujh  sā  dūsrā  na  milā
tirā  jamāl  fazāoñ  meñ  muntashir  thā  magar
nigāh-e-shauq  ko  phir  bhī  tirā  pata  na  milā
hazār  Thokareñ  khā.īñ  hazār  sū  'bahzād'
jahān-e-husn  meñ  koī  bhī  bā-vafā  na  milā