kyā  ye  bhī  maiñ  batlā  duuñ  tū  kaun  hai  maiñ  kyā  huuñ
tū  jān-e-tamāshā  hai  maiñ  mahv-e-tamāshā  huuñ
tū  bā.is-e-hastī  hai  maiñ  hāsil-e-hastī  huuñ
tū  ḳhāliq-e-ulfat  hai  aur  maiñ  tirā  banda  huuñ
jab  tak  na  milā  thā  tū  ai  fitna-e-do-ālam
jab  dard  se  ġhāfil  thā  ab  dard  kī  duniyā  huuñ
kuchh  farq  nahīñ  tujh  meñ  aur  mujh  meñ  koī  lekin
tū  aur  kisī  kā  hai  bedard  maiñ  terā  huuñ
muddat  huī  kho  baiThā  sarmāya-e-taskīñ  maiñ
ab  to  tirī  furqat  meñ  din  raat  taḌaptā  huuñ
armān  nahīñ  koī  go  dil  meñ  mire  lekin
allāh  rī  majbūrī  majbūr-e-tamannā  huuñ
'bahzād'-e-hazīñ  mujh  par  ik  kaif  sā  taarī  hai
ab  ye  mirā  aalam  hai  hañstā  huuñ  na  rotā  huuñ