ai  jazba-e-dil  gar  maiñ  chāhūñ  har  chiiz  muqābil  aa  jaa.e
manzil  ke  liye  do  gaam  chalūñ  aur  sāmne  manzil  aa  jaa.e
ai  dil  kī  lagī  chal  yūñhī  sahī  chaltā  to  huuñ  un  kī  mahfil  meñ
us  vaqt  mujhe  chauñkā  denā  jab  rañg  pe  mahfil  aa  jaa.e
ai  rahbar-e-kāmil  chalne  ko  tayyār  to  huuñ  par  yaad  rahe
us  vaqt  mujhe  bhaTkā  denā  jab  sāmne  manzil  aa  jaa.e
haañ  yaad  mujhe  tum  kar  lenā  āvāz  mujhe  tum  de  lenā
is  rāh-e-mohabbat  meñ  koī  darpesh  jo  mushkil  aa  jaa.e
ab  kyuuñ  DhūñDūñ  vo  chashm-e-karam  hone  de  sitam  bālā-e-sitam
maiñ  chāhtā  huuñ  ai  jazba-e-ġham  mushkil  pas-e-mushkil  aa  jaa.e
is  jazba-e-dil  ke  baare  meñ  ik  mashvara  tum  se  letā  huuñ
us  vaqt  mujhe  kyā  lāzim  hai  jab  tujh  pe  mirā  dil  aa  jaa.e
ai  barq-e-tajallī  kauñdh  zarā  kyā  mujh  ko  bhī  muusā  samjhā  hai
maiñ  tuur  nahīñ  jo  jal  jā.ūñ  jo  chāhe  muqābil  aa  jaa.e
kashtī  ko  ḳhudā  par  chhoḌ  bhī  de  kashtī  kā  ḳhudā  ḳhud  hāfiz  hai
mushkil  to  nahīñ  in  maujoñ  meñ  bahtā  huā  sāhil  aa  jaa.e