dīvāna  banānā  hai  to  dīvāna  banā  de
varna  kahīñ  taqdīr  tamāsha  na  banā  de
ai  dekhne  vaalo  mujhe  hañs  hañs  ke  na  dekho
tum  ko  bhī  mohabbat  kahīñ  mujh  sā  na  banā  de
maiñ  DhūñDh  rahā  huuñ  mirī  vo  sham.a  kahāñ  hai
jo  bazm  kī  har  chiiz  ko  parvāna  banā  de
āḳhir  koī  sūrat  bhī  to  ho  ḳhāna-e-dil  kī
ka.aba  nahīñ  bantā  hai  to  but-ḳhāna  banā  de
'bahzād'  har  ik  gaam  pe  ik  sajda-e-mastī
har  zarre  ko  sañg-e-dar-e-jānāna  banā  de