Behzad Lakhnavi

ek be-wafa ko pyar kiya hae kya kiya

Behzad Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1900-1974
ik be-vafā ko pyaar kiyā haa.e kyā kiyā
ḳhud dil ko be-qarār kiyā haa.e kyā kiyā
mālūm thā ki ahd-e-vafā un kā jhuuT hai
is par bhī e'tibār kiyā haa.e kyā kiyā
vo dil ki jis pe qīmat-e-kaunain thī nisār
nazr-e-nigāh-e-yār kiyā haa.e kyā kiyā
ḳhud ham ne faash faash kiyā rāz-e-āshiqī
dāman ko taar taar kiyā haa.e kyā kiyā
aaheñ bhī baar baar bharīñ un ke hijr meñ
naala bhī baar baar kiyā haa.e kyā kiyā
miTne kā ġham nahīñ hai bas itnā malāl hī
kyuuñ terā intizār kiyā haa.e kyā kiyā
ham ne to ġham ko siine se apne lagā liyā
ġham ne hameñ shikār kiyā haa.e kyā kiyā
sayyād kī razā ye ham aañsū na pī sake
uzr-e-ġham-bahār kiyā haa.e kyā kiyā
qismat ne aah ham ko ye din bhī dikhā diye
qismat pe e'tibār kiyā haa.e kyā kiyā
rañgīnī-e-ḳhayāl se kuchh bhī na bach sakā
har shai ko pur-bahār kiyā haa.e kyā kiyā
dil ne bhulā bhulā ke tirī bevafā.iyāñ
phir ahd ustuvār kiyā haa.e kyā kiyā
un ke sitam bhī sah ke na un se kiyā gila
kyuuñ jabr iḳhtiyār kiyā haa.e kyā kiyā
kāfir kī chashm-e-nāz pe kyā dil-jigar kā zikr
īmān tak nisār kiyā haa.e kyā kiyā
kaalī ghaTā ke uThte hī tauba na rah sakī
tauba pe e'tibār kiyā haa.e kyā kiyā
shām-e-firāq qalb ke dāġhoñ ko gin liyā
tāroñ ko bhī shumār kiyā haa.e kyā kiyā
'bahzād' kī na qadar koī tum ko ho sakī
tum ne zalīl-o-ḳhvār kyā haa.e kyā kiyā
Top Urdushayar.com