dil  merā  terā  tāba-e-farmāñ  hai  kyā  karūñ
ab  terā  kufr  hī  mirā  īmāñ  hai  kyā  karūñ
bā-hosh  huuñ  magar  mirā  dāman  hai  chaak  chaak
aalam  ye  dekh  dekh  ke  hairāñ  hai  kyā  karūñ
har  tarah  kā  sukūn  hai  har  tarah  kā  hai  kaif
phir  bhī  ye  merā  qalb  pareshāñ  hai  kyā  karūñ
kahtā  nahīñ  huuñ  aur  zamāna  hai  bā-ḳhabar
chehre  se  dil  kā  haal  numāyāñ  hai  kyā  karūñ
dāman  karūñ  na  chaak  ye  mumkin  to  hai  magar
muztar  har  ek  tār-e-garebāñ  hai  kyā  karūñ
saada  sā  ik  varaq  huuñ  kitāb-e-hayāt  kā
hasrat  se  ab  na  ab  koī  armāñ  hai  kyā  karūñ
har  samt  pā  rahā  huuñ  vahī  rañg-e-dil-fareb
hāthoñ  meñ  kufr  ke  mirā  īmāñ  hai  kyā  karūñ
dāġhoñ  kā  qalb-e-zār  se  mumkin  to  hai  ilaaj
un  ke  hī  dam  se  dil  meñ  charāġhāñ  hai  kyā  karūñ
ik  be-vafā  ke  vāste  se  sab  kuchh  luTā  diyā
'bahzād'  ab  na  diin  na  īmāñ  hai  kyā  karūñ