ḳhushī  mahsūs  kartā  huuñ  na  ġham  mahsūs  kartā  huuñ
magar  haañ  dil  meñ  kuchh  kuchh  zer-o-bam  mahsūs  kartā  huuñ
mohabbat  kī  ye  nairañgī  bhī  duniyā  se  nirālī  hai
alam  koī  nahīñ  lekin  alam  mahsūs  kartā  huuñ
mirī  nazroñ  meñ  ab  baaqī  nahīñ  hai  zauq-e-kufr-o-dīñ
maiñ  ik  markaz  pe  ab  dair-o-haram  mahsūs  kartā  huuñ
jo  lutf-e-zindagānī  mil  rahā  thā  ghaTtā  jaatā  hai
ḳhalish  jo  dil  meñ  rahtī  thī  vo  kam  mahsūs  kartā  huuñ
tumhāre  zikr  par  kab  munhasir  hai  dil  kī  betābī
kisī  kā  zikr  ho  maiñ  chashm-e-nam  mahsūs  kartā  huuñ
kabhī  paatā  huuñ  dil  meñ  ek  hashr-e-dard-e-betābī
kabhī  maiñ  apne  dil  meñ  dard-o-ġham  mahsūs  kartā  huuñ
zabāñ  par  merī  shikva  aa  nahīñ  saktā  zamāne  kā
ki  har  aalam  ko  maiñ  un  kā  karam  mahsūs  kartā  huuñ
ye  dil  meñ  hai  jo  ghabrāhaT  ye  āñkhoñ  meñ  hai  jo  aañsū
is  ehsāñ  ko  bhī  bālā-e-karam  mahsūs  kartā  huuñ
ḳhushī  kī  mujh  ko  ab  bahzād  kuchh  hājat  nahīñ  baaqī
ki  ġham  ko  bhī  maiñ  ab  un  kā  karam  mahsūs  kartā  huuñ