lab  pe  hai  fariyād  ashkoñ  kī  ravānī  ho  chukī
ik  kahānī  chhiḌ  rahī  hai  ik  kahānī  ho  chukī
mehr  ke  parde  meñ  puurī  dil-sitānī  ho  chukī
banda-parvar  rahm  kījiye  mehrbānī  ho  chukī
merā  dil  taakā  gayā  jaur  o  jafā  ke  vāste
jab  ki  puure  rañg  par  un  kī  javānī  ho  chukī
jā.iye  bhī  kyuuñ  mujhe  jhūTī  tashaffī  dījiye
aap  se  aur  mere  dil  kī  tarjumānī  ho  chukī
aa  gayā  ai  sunñe  vaale  ab  mujhe  pās-e-vafā
ab  bayāñ  rūdād-e-dil  merī  zabānī  ho  chukī
āḳhirī  aañsū  mirī  chashm-e-alam  se  gir  chukā
sunñe  vaalo  ḳhatm  ab  merī  kahānī  ho  chukī
ham  bhī  tañg  aa  hī  ga.e  āḳhir  niyāz  o  naaz  se
haañ  ḳhushā  qismat  ki  un  kī  mehrbānī  ho  chukī
sunñe  vaale  sūrat-e-tasvīr  baiThe  haiñ  tamām
hazrat-e-'bahzād'  bas  jādū-bayānī  ho  chukī