chashm-e-hasīñ  meñ  hai  na  ruḳh-e-fitna-gar  meñ  hai
duniyā  kā  har  fareb  fareb-e-nazar  meñ  hai
ab  kyā  ḳhabar  ki  dil  meñ  hai  kyā  kyā  jigar  meñ  hai
ab  to  tirī  nazar  kā  tamāshā  nazar  meñ  hai
īmān  rakh  ke  kyā  karūñ  farsūda  chiiz  hai
mastī  mujhe  qubūl  ki  terī  nazar  meñ  hai
nāsūr  dard-e-zaḳhm  tapish  soz-o-iztirāb
sāmān  sau  tarah  kā  dil-e-muḳhtasar  meñ  hai
hāzir  hai  us  ke  vāste  jis  ko  ho  aarzū
haañ  ik  lahū  kī  buuñd  mirī  chashm-e-tar  meñ  hai
qismat  se  mil  ga.ī  hai  ye  bedārī-e-hayāt
is  ishq  ke  nisār  ki  duniyā  nazar  meñ  hai
mujh  ko  na  din  ko  chain  na  shab  ko  sukūñ  nasīb
ik  rabt-e-dā.imī  mirī  shām-o-sahar  meñ  hai
hairat  se  dekhiye  na  mire  sajda-hā-e-shauq
ye  āstāñ  kuchh  aur  hī  merī  nazar  meñ  hai
baaqī  haiñ  ba.ad-e-tauba  bhī  rindī  ke  valvale
dil  meñ  ḳhayāl-e-bāda  hai  sāġhar  nazar  meñ  hai
achchhī  milī  hai  mujh  ko  ye  dīvāngī-e-shauq
duniyā  kā  har  ḳhayāl  dil-e-be-ḳhabar  meñ  hai
do  qatra-hā-e-ḳhūñ  sar-e-mizhgāñ  haiñ  muntazir
'bahzād'  do-jahāñ  kā  tamāshā  nazar  meñ  hai