un  ko  but  samjhā  thā  yā  un  ko  ḳhudā  samjhā  thā  maiñ
haañ  batā  de  ai  jabīn-e-shauq  kyā  samjhā  thā  maiñ
allāh  allāh  kyā  ināyat  kar  ga.ī  mizrāb-e-ishq
varna  sāz-e-zindagī  ko  be-sadā  samjhā  thā  maiñ
un  se  shikva  kyuuñ  karūñ  un  se  shikāyat  kyā  karūñ
ḳhud  baḌī  mushkil  se  apnā  mudda.ā  samjhā  thā  maiñ
merī  hālat  dekhiye  merā  taḌapnā  dekhiye
aap  ko  is  se  ġharaz  kyā  hai  ki  kyā  samjhā  thā  maiñ
khul  gayā  ye  raaz  un  āñkhoñ  ke  ashk-e-nāz  se
kaifiyāt-e-husn  ko  ġham  se  judā  samjhā  thā  maiñ
ai  jabīn-e-shauq  haañ  tujh  ko  baḌī  zahmat  huī
aaj  har  zarre  ko  un  kā  naqsh-e-pā  samjhā  thā  maiñ
ik  nazar  par  munhasir  thī  ziist  kī  kul  kā.enāt
har  nazar  ko  jaan  jān-e-mudda.ā  samjhā  thā  maiñ
aa  rahā  hai  kyuuñ  kisī  kā  naam  hoñToñ  tak  mire
ai  dil-e-muztar  tujhe  sabr-āzmā  samjhā  thā  maiñ
aap  to  har  har  qadam  par  ho  rahe  haiñ  jalva-gar
aap  ko  hadd-e-nazar  se  māvarā  samjhā  thā  maiñ
ye  fuġhāñ  ye  shor  ye  naale  ye  shevan  the  fuzūl
kyā  batātī  thī  mohabbat  aur  kyā  samjhā  thā  maiñ
us  nigāh-e-nāz  ne  'bahzād'  mujh  ko  kho  diyā
jis  nigāh-e-nāz  ko  apnī  davā  samjhā  thā  maiñ