tumhāre  husn  kī  tasḳhīr  aam  hotī  hai
ki  ik  nigāh  meñ  duniyā  tamām  hotī  hai
jahāñ  pe  jalva-e-jānāñ  hai  anjuman-ārā
vahāñ  nigāh  kī  manzil  tamām  hotī  hai
vahī  ḳhalish  vahī  sozish  vahī  tapish  vahī  dard
hameñ  sahar  bhī  ba-andāz-e-shām  hotī  hai
nigāh-e-husn  mubārak  tujhe  dar-andāzī
kabhī  kabhī  mirī  mahfil  bhī  aam  hotī  hai
zahe  nasīb  meñ  qurbān  apnī  qismat  ke
tire  liye  mirī  duniyā  tamām  hotī  hai
namāz-e-ishq  kā  hai  inhisār  ashkoñ  tak
ye  be-niyāz-e-sujūd-o-qayām  hotī  hai
tirī  nigāh  ke  qurbāñ  tirī  nigāh  kī  Tiis
ye  nā-tamām  hī  rah  kar  tamām  hotī  hai
vahāñ  pe  chal  mujhe  le  kar  mire  samand-e-ḳhayāl
jahāñ  nigāh  kī  mastī  harām  hotī  hai
kisī  ke  zikr  se  'bahzād'  mubtalā  ab  tak
jigar  meñ  ik  ḳhalish-e-nā-tamām  hotī  hai