tire  ishq  meñ  zindagānī  luTā  dī
ajab  khel  khelā  javānī  luTā  dī
nahīñ  dil  meñ  dāġh-e-tamannā  bhī  baaqī
unhīñ  par  se  un  kī  nishānī  luTā  dī
kuchh  is  tarah  zālim  ne  dekhā  ki  ham  ne
na  sochā  na  samjhā  javānī  luTā  dī
tumhāre  hī  kāran  tumhārī  badaulat
tumhārī  qasam  zindagānī  luTā  dī
adāoñ  ko  dekhā  nigāhoñ  ko  dekhā
hazāroñ  tarah  se  javānī  luTā  dī
ġhazab  to  ye  hai  ham  ne  mahfil  kī  mahfil
sunā  kar  vafā  kī  kahānī  luTā  dī
jahāñ  koī  dekhā  hasīñ  jalva-ārā
vahīñ  ham  ne  apnī  javānī  luTā  dī
nigāhoñ  se  saaqī  ne  sahbā-e-ulfat
sitam  ye  hai  tā-dūr-e-sānī  luTā  dī
javānī  ke  jazboñ  se  allāh  samjhe
javānī  jo  dekhī  javānī  luTā  dī
bujhā.ī  hai  pyaas  aaj  dāman  kī  ham  ne
sharāb-e-nazar  kar  ke  paanī  luTā  dī
tumhīñ  par  se  'bahzād'  ne  be-ḳhudī  meñ
kyā  dil  tasadduq  javānī  luTā  dī