fitne  jo  ka.ī  shakl-e-karishmāt  uThe  haiñ
kuchh  dil  meñ  anokhe  se  ḳhayālāt  uThe  haiñ
mahfil  meñ  vo  jab  bahr-e-mulāqāt  uThe  haiñ
hamrāz  se  karte  hue  kuchh  baat  uThe  haiñ
āñdhī  to  abhī  sahn-e-chaman  tak  nahīñ  pahuñchī
ik  jhoñke  se  sūkhe  hue  kuchh  paat  uThe  haiñ
hir-phir  ke  vahī  sāmne  thā  parda-e-auhām
kahne  hī  ko  āñkhoñ  se  hijābāt  uThe  haiñ
man  mast  haiñ  is  tarah  ravāñ  nafs  ke  pīchhe
sar  karne  ko  goyā  ki  muhimmāt  uThe  haiñ
ai  shaiḳh  na  ye  kufr  na  fitna  hai  na  shar  hai
ik  ham  bhī  sunāne  ko  na.ī  baat  uThe  haiñ
sairābī-e-jāñ  dekh  ki  ham  bazm  se  us  kī
āñkhoñ  meñ  basā.e  hue  barsāt  uThe  haiñ