har-chand  ki  sāġhar  kī  tarah  josh  meñ  rahiye
saaqī  se  mile  aañkh  to  phir  hosh  meñ  rahiye
kuchh  us  ke  tasavvur  meñ  vo  rāhat  hai  ki  barsoñ
baiThe  yūñhī  is  vādī-e-gul-posh  meñ  rahiye
ik  saada  tabassum  meñ  vo  jaadū  hai  ki  pahroñ
Duube  hue  ik  naġhma-e-ḳhāmosh  meñ  rahiye
hotī  hai  yahāñ  qadr  kise  dīda-varī  kī
āñkhoñ  kī  tarah  apne  hī  āġhosh  meñ  rahiye
Thahrā.ī  hai  ab  hāl-e-ġham-e-dil  ne  ye  sūrat
mastī  kī  tarah  dīda-e-mai-nosh  meñ  rahiye
himmat  ne  chalan  ab  ye  nikālā  hai  ki  chubh  kar
kāñTe  kī  tarah  pā-e-talab-kosh  meñ  rahiye
āsūda-dilī  raas  nahīñ  arz-e-suḳhan  ko
hai  shart  ki  dariyā  kī  tarah  josh  meñ  rahiye