tum  se  ulfat  ke  taqāze  na  nibāhe  jaate
varna  ham  ko  bhī  tamannā  thī  ki  chāhe  jaate
dil  ke  māroñ  kā  na  kar  ġham  ki  ye  andoh-nasīb
zaḳhm  bhī  dil  meñ  na  hotā  to  karāhe  jaate
kam-nigāhī  kī  hameñ  ḳhud  bhī  kahāñ  thī  taufīq
kam-nigāhī  ke  liye  uzr  na  chāhe  jaate
kaash  ai  abr-e-bahārī  tire  bahke  se  qadam
merī  ummīd  ke  sahrā  meñ  bhī  gaahe  jaate
ham  bhī  kyuuñ  dahr  kī  raftār  se  hote  pāmāl
ham  bhī  har  laġhzish-e-mastī  ko  sarāhe  jaate
lazzat-e-dard  se  āsūda  kahāñ  dil  vaale
haiñ  faqat  dard  kī  hasrat  meñ  karāhe  jaate
hai  tire  fitna-e-raftār  kā  shohrā  kyā  kyā
garche  dekhā  na  kisī  ne  sar-e-rāhe  jaate
dī  na  mohlat  hameñ  hastī  ne  vafā  kī  varna
aur  kuchh  din  ġham-e-hastī  se  nibāhe  jaate