Shaanul Haq Haqqi

hai ab ki fasl mein rang bahaar aur hi kuchh

Shaanul Haq Haqqi

Delhi, India

1917-2005
hai ab kī fasl meñ rañg bahār aur hī kuchh
huā hai naqsha-e-shahr-o-dayār aur hī kuchh
na shahsavār na ġhaznī na kārvāñ koī
ufuq ke paar uThā thā ġhubār aur hī kuchh
shagūfe aaj bhī khulte haiñ kal bhī khulte the
hai is chaman kī ḳhizāñ aur bahār aur hī kuchh
hamāre vāste hamdam qarār-e-dil mat DhūñDh
ki pā gayā hai diloñ meñ qarār aur hī kuchh
na shāḳh kā na samar kā na āshiyāñ kā malāl
ki maiñ ne tujh pe kiyā thā nisār aur hī kuchh
sunā hai tañgī-e-kunj-e-lahad kā bhī ahvāl
hai aaj arz-o-samā kā fishār aur hī kuchh
navā-e-dil meñ vo āhañg dil-kushā na rahā
suḳhan ne rañg kiyā iḳhtiyār aur hī kuchh
Top Urdushayar.com