ai  dil  tire  ḳhayāl  kī  duniyā  kahāñ  se  laa.eñ
in  vahshatoñ  ke  vāste  sahrā  kahāñ  se  laa.eñ
hasrat  to  hai  yahī  ki  ho  duniyā  se  dil  ko  mel
ho  jis  se  dil  ko  mel  vo  duniyā  kahāñ  se  laa.eñ
dekhā  thā  jo  nihāl-e-tamannā  ke  saa.e  meñ
ai  be-dilī  vo  dil  dil-e-afzā  kahāñ  se  laa.eñ
raushan  the  jo  kabhī  vo  nazāre  kidhar  ga.e
barpā  thā  jo  kabhī  vo  tamāshā  kahāñ  se  laa.eñ
kyā  us  nigāh-e-hausla-afzā  ko  deñ  javāb
gum  kar  diyā  jise  vo  tamannā  kahāñ  se  laa.eñ
hai  lutf-e-dost  harf-e-taqāzā  kā  muntazir
ai  bebasī  majāl-e-tamannā  kahāñ  se  laa.eñ
'haqqī'  bahut  hai  kār-e-junūñ  dasht-e-zīst  meñ
āsūdgān-e-rāh  vo  saudā  kahāñ  se  laa.eñ