ruuh  kī  maañg  hai  vo  jism  kā  sāmān  nahīñ
us  kā  milnā  mujhe  mushkil  na  ho  āsān  nahīñ
koī  dam  aur  hai  bas  ḳhaak  hue  jaane  meñ
ḳhaak  bhī  aisī  ki  jis  kī  koī  pahchān  nahīñ
Thes  kuchh  aisī  lagī  hai  ki  bikharnā  hai  use
dil  meñ  dhaḌkan  kī  jagah  dard  hai  aur  jaan  nahīñ
bojh  hai  ishq  to  phir  kaise  sambhāleñ  us  ko
duur  tak  saath  chaleñ  is  kā  to  imkān  nahīñ
muḳhtalif  samt  bahā.e  liye  jaatā  hai  hameñ
vaqt  ke  saath  hamārā  koī  paimān  nahīñ
'fātima'  dard  ke  rishte  se  kinārā  karnā
be-hisī  kah  lo  ise  ye  koī  nirvān  nahīñ