jaatā  hai  jo  gharoñ  ko  vo  rasta  badal  diyā
āñdhī  ne  mere  shahr  kā  naqsha  badal  diyā
pahchān  jin  se  thī  vo  havāle  miTā  diye
us  ne  kitāb-e-zāt  kā  safha  badal  diyā
kitnā  ajiib  hai  vo  musavvir  ki  ġhaur  se
dekhe  jo  ḳhadd-o-ḳhāl  to  chehra  badal  diyā
vo  khel  thā  mazāq  thā  yā  ḳhauf  thā  koī
ik  chaal  chal  ke  us  ne  jo  mohra  badal  diyā
kartā  rahā  asīrī  ke  ehsās  ko  shadīd
zanjīr  khol  dī  kabhī  pahrā  badal  diyā