phir  yuuñ  huā  ki  zindagī  merī  nahīñ  rahī
us  kī  nahīñ  rahī  to  kisī  kī  nahīñ  rahī
vo  ham-safar  thā  kashtī  pe  māñjhī  bhī  thā  vahī
dariyā  vahī  hai  maiñ  bhī  huuñ  kashtī  nahīñ  rahī
badlā  jo  us  kā  lahja  to  sab  kuchh  badal  gayā
chāhat  meñ  Dhal  ke  jaisī  thī  vaisī  nahīñ  rahī
peḌoñ  meñ  chhāñv  phuul  meñ  ḳhushbū  hai  apnā  rañg
vīrānī  baḌh  ga.ī  hai  ki  bastī  nahīñ  rahī
kachche  makān  jaise  gharauñde  se  kheltī
puḳhta  huā  jo  sahn  to  miTTī  nahīñ  rahī
ik  e'tirāf-e-ishq  thā  jo  kar  nahīñ  sakī
ḳhāmosh  is  liye  huuñ  ki  sachchī  nahīñ  rahī