āñkhoñ  meñ  na  zulfoñ  meñ  na  ruḳhsār  meñ  dekheñ
mujh  ko  mirī  dānish  mire  afkār  meñ  dekheñ
malbūs  badan  dekheñ  haiñ  rañgīn  qabā  meñ
ab  pairahan-e-zāt  ko  iz.hār  meñ  dekheñ
sau  rañg  mazāmīn  haiñ  jab  likhne  pe  aa.uuñ
gul-dasta-e-ma.anī  mire  ash.ār  meñ  dekheñ
puurī  na  adhūrī  huuñ  na  kam-tar  huuñ  na  bartar
insān  huuñ  insān  ke  me.aar  meñ  dekheñ
rakkhe  haiñ  qadam  maiñ  ne  bhī  tāroñ  kī  zamīñ  par
pīchhe  huuñ  kahāñ  aap  se  raftār  meñ  dekheñ
mansūb  haiñ  insān  se  jitne  bhī  fazā.el
apne  hī  nahīñ  mere  bhī  atvār  meñ  dekheñ
kab  chāhā  ki  sāmān-e-tijārat  hameñ  samjheñ
laa.e  the  hameñ  aap  hī  bāzār  meñ  dekheñ
us  qādir-e-mutlaq  ne  banāyā  hai  hameñ  bhī
ta.amīr  kī  ḳhūbī  usī  me.amār  meñ  dekheñ