Fatima Hasan

KHushbu hai aur dhima sa dukh phaila hai

Fatima Hasan

Karachi, Sindh, Pakistan

1953
ḳhushbū hai aur dhīmā sā dukh phailā hai
kaun gayā hai ab tak lawn akelā hai
kyuuñ aahaT par chaukūñ maiñ kis ko dekhūñ
be-dastak hī aayā jab vo aayā hai
khulī kitābeñ sāmne rakkhe baiThī huuñ
dhuñdle dhuñdle lafzoñ meñ ik chehra hai
raat darīche tak aa kar ruk jaatī hai
band āñkhoñ meñ us kā chehra rahtā hai
āvāzoñ se ḳhālī kirneñ phailī haiñ
ḳhāmoshī meñ chāñd bhī tanhā jaltā hai
jaane kaun se raste pe kho jaa.e vo
shahr meñ bhī āseboñ kā Dar rahtā hai
Top Urdushayar.com