ḳhushbū  hai  aur  dhīmā  sā  dukh  phailā  hai
kaun  gayā  hai  ab  tak  lawn  akelā  hai
kyuuñ  aahaT  par  chaukūñ  maiñ  kis  ko  dekhūñ
be-dastak  hī  aayā  jab  vo  aayā  hai
khulī  kitābeñ  sāmne  rakkhe  baiThī  huuñ
dhuñdle  dhuñdle  lafzoñ  meñ  ik  chehra  hai
raat  darīche  tak  aa  kar  ruk  jaatī  hai
band  āñkhoñ  meñ  us  kā  chehra  rahtā  hai
āvāzoñ  se  ḳhālī  kirneñ  phailī  haiñ
ḳhāmoshī  meñ  chāñd  bhī  tanhā  jaltā  hai
jaane  kaun  se  raste  pe  kho  jaa.e  vo
shahr  meñ  bhī  āseboñ  kā  Dar  rahtā  hai